2 weddings and a villain

Two of my very good friends are getting married. They were KOOL KIDS @ college. No. Not to each other. Though I still have that Bhopali snap at the Taj Mahal. Thanks guys for that fantastic trip. I do have that snap JK jahaan tum zameen pe laite huye ho, kisi disco mein khel rahe ho, ek aur mama ke saath. Hahaha. No don't worry. Main dikhaoonga nahi kisiko. Tumhara future secure hai.
Yaar, tum dono ne ek hi din kaise pick kiya? Yeh koi K ya B speciality hai kya ke community wale ek hi time pe shaadi...you know what I mean. MRB, tum ne JK ko dhokha de diya aakhir...JK jyada uchlo mat. Tumne MRB ko dhokha diya hai. Ek doosre ke shaadi mein nahi aakar. You know, main aa nahi sakta. Ek tarah se achchhi baat hai. Pucchho kyon? I do not need to choose between two - which one to attend. Seriously, meri watt lagti naa...Anyways, yaar, is blog pe toh tumhein pata chal hi gaya hoga ke main kahaan boora phansaa hua hoon. Seoul mein. Lagta hai is baar tumhe original Hrithik Roshan ko bulana padega...:-)
Doston, dil ki yeh dua hai ke tumhe life mein woh sab kuchh hassil ho jiski tumhe tamanna hai. Bade dinon baad Hinglish likh raha hoon. Bahut mazaa aa raha hai. Kuch galatiyaan hongi zaroor. Maaf kar dena..hamesha ke tarah...

about this entry